Jhulelal Chalisa 

 Jhulelal Chalisa 

Mantra:


Doha:
Jai Jai Jai Jal Devta, Jai Jai Jyoti Swaroop।
Amar Udero Lal Jai, Jai Jai Shri Jhulelal Anoop।।


Chaupai:

Ratanlal Ratanani Nandan,
Jayati Devaki Sut Jagvandan॥1॥

Dariyashah Varun Avtaari,
Jai Jai Lal Sai Sukhkaari॥2॥

Jai Jai Hoy Dharm Ki Bheera,
Zinda Peer Hare Jan Peera॥3॥

Samvat Das Sau Saat Manjhaara,
Chaitra Shukla Dvitiya Ke Vaara॥4॥

Gaav Nasarpur Sindh Pradesha,
Prabhu Avtare Sab Mite Klesha॥5॥

Sindhu Veer Thattha Rajdhaani,
Mirakh Shah Nrip Ati Abhimaani॥6॥

Kapti Kutil Kroor Kuvichaari,
Yavan Malin Man Atyachaari॥7॥

Dharmaantaran Kare Sab Kera,
Dukhi Hue Jan Kasht Ghanera॥8॥

Pitwaya Hakim DhinDhora,
Ho Islam Dharm Chauhora॥9॥

Sindhi Praja Bahut Ghabraayi,
Isht Dev Ko Ter Lagayi॥10॥

Varun Dev Pooje Bahu Bhaanti,
Bin Jal Ann Gaye Din Rati॥11॥

Sindhu Teer Tab Din Chaleesa,
Sab Ghar Dhyan Lagaye Eesha॥12॥

Garaj Utha Nad Sindhu Sahasa,
Chaaro Or Utha Nav Harsha॥13॥

Varun Dev Ne Suni Pukaara,
Prakate Varun Meen Aswaara॥14॥

Divya Purush Jal Brahma Swaroopa,
Kar Pustak Navroop Anoopa॥15॥

Harshit Hue Sakal Nar Naari,
Varun Dev Ki Mahima Nyaari॥16॥

Jai Jai Kaar Uthi Chauhora,
Gayi Raat Aayi Nav Bhora॥17॥

Mirakh Nrip Jo Atyachaari,
Nasht Karunga Shakti Saari॥18॥

Door Adharm Karan Bhoobhaara,
Sheeghra Nasarpur Mein Avtaara॥19॥

Ratanray Ratanani Aangan,
Aaunga Unka Shishu Bankar॥20॥

Ratanray Ghar Khushiyan Aayi,
Avataare Sab Dey Badhai॥21॥

Ghar Ghar Mangal Geet Suhaaye,
Jhulelal Haran Dukh Aaye॥22॥

Mirakh Shah Tak Charcha Aayi,
Bheja Mantri Krodh Adhikaayi॥23॥

Mantri Ne Jab Baal Nihara,
Dheeraj Gaya Hriday Ka Saara॥24॥

Dekhi Mantri Sai Ki Leela,
Ati Vichitra Manmohan Sheela॥25॥

Baalak Dikha Yuva Senaani,
Dekh Mantri Buddhi Chakraani॥26॥

Yoddha Roop Dikhe Bhagwana,
Mantri Hua Vighat Abhimaana॥27॥

Jhulelal Tab Diya Aadesha,
Ja Tav Naupati Kah Sandesha॥28॥

Mirakh Shah Kah Taje Gumaana,
Hindu Muslim Ek Samaana॥29॥

Band Karo Nit Atyachaara,
Tyago Dharmaantaran Vichaara॥30॥

Lekin Mirakh Shah Abhimaani,
Varun Dev Ki Baat Na Maani॥31॥

Ek Divas Ho Ashwa Sawaara,
Jhulelal Gaye Darbaara॥32॥

Mirakh Shah Ne Aagya Dedi,
Jhulelal Banao Bandi॥33॥

Kiya Swaroop Varun Ka Dhaaran,
Chaaro Or Hua Jal Pralaya॥34॥

Darbaari Tab Doobe Utraaye,
Nrip Ke Hosh Thikaane Aaye॥35॥

Mirakh Shah Tab Sharanan Aayi,
Bola Dhanya Dhanya Jai Saai॥36॥

Vaapis Liya Nrip Nij Aadesha,
Door Hua Sab Jan Ka Klesha॥37॥

Samvat Das Sau Bees Manjhaari,
Bhaadra Shukla Chaudas Shubhkaari॥38॥

Bhakton Ki Har Vipda Vyaadhi,
Jal Mein Li Jaldev Samaadhi॥39॥

Jo Jan Dhare Aaj Bhi Dhyaana,
Shri Jhulelal Karen Kalyaana॥40॥


Doha:

Yeh Chalisa Padhe Jo Koi, Uska Jeevan Sukhmaya Hoi।
Din Chalees Kare Vrat Joi, Manvanchhit Phal Paave Soi।।

Jhulelal Kon hai

Jhulelal Sindhi Hinduo ke upasya dev hain, jinhein ‘Isht Dev’ ke roop mein maana jaata hai. Unke upaask unhein Varun Dev (Jal Devta) ka avataar maante hain. Varun Dev ko saagar ke devta, satya ke rakshak aur divya drishti wale devta ke roop mein Sindhi samaaj poojta hai.

Unka vishwas hai ki jal se sabhi sukhon ki praapti hoti hai aur jal hi jeevan hai. Jal-Jyoti, Varunavatar, aur Jhulelal Sindhiyon ke Isht Dev hain jinke baage daaman phailaakar Sindhi log yeh mangal kaamna karte hain ki:

“Saare vishwa mein sukh-shaanti, aman-chain bana rahe, aur chaaro dishaon mein hariyali aur khushhaali ho.”

“Chetichandu”, jise Jhulelal Jayanti bhi kaha jaata hai, Sindhi Nav Varsh ki shuruaat ka pratik hai. Yeh tithi Hindu Panchang ke anusaar Chaitra Shukla Paksha ke doosre din manayi jaati hai. (Sindhi bhaasha mein Chaitra ko “Chetr” kehte hain)

Chetichandu hi Sai Uderolal ka janm divas bhi hai, jinke roop ko log Jhulelal ke naam se jaante hain, jo Bhagwan Vishnu ke Varunavatar maane jaate hain.

Jhulelal ji ke avataran divas ko Sindhi samaaj Cheti Chand ke roop mein manata hai. Kuch vidvano ke anusaar, Sindh ka shasak Mirakh Shah apni praja par atyachaar karne laga tha. Tab Sindhi logon ne kathin jap, tap aur sadhna ki.

Tab Sindhu nadi se ek bade nar-matsya (machhli) par baithe Bhagwan Jhulelal prakat hue aur bola:

“Main 8 din baad janm lekar Mirakh Shah ke atyachaaron se praja ko mukti dilaunga.”

Chaitra mah ke doosre din ek baalak ka janm hua jiska naam Uderolal rakha gaya. Apne chamatkaron ke kaaran ve baad mein Jhulelal, Lal Sai, ke naam se Sindhi samaaj mein aur Muslim samaaj mein Khwaja Khizr Zinda Peer ke roop mein bhi pooje jaane lage.

Cheti Chand ke din shraddhalu Bahirana Sahib banate hain. Shobha yatra mein ‘Chej’ (jo Sindh ka loknritya hai, Dandiya jaise) ke saath Jhulelal ki mahima ke geet gaaye jaate hain.

Tahiri (meethe chawal), chhole (ube, namkeen chane) aur sharbat ka prasad baanta jaata hai. Shaam ko Bahirana Sahib ka visarjan kar diya jaata hai.


Set Youtube Channel ID