छूटे न कभी तेरा दामन या ख़्वाजा मुईनुद्दीन हसन || Chhoote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Muinuddeen Hasan
है तुम पे फ़िदा सब तन-मन-धन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !छूटे न कभी तेरा दामन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
करते हैं फ़िदा सब तन-मन-धन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !अजमेर मुझे पहुँचा दे ख़ुदा, चादर मैं चढ़ाऊँ फूलों की
फिर सदक़ा करूँ अपना तन-मन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !आक़ा की ‘अता, हो नूर-ए-‘अली, ज़हरा की कली, वलियों के वली
हसनैन के दिल, ‘उस्माँ के नयन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !का’बा हो, मदीना हो या नजफ़, हर जा पे नज़र तुम आते हो
कुछ ऐसी लगी है दिल की लगन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !मय-ख़ाने में मेरी मस्ती कुछ इस तरह नज़र आए, साक़ी !
मैं रक़्स करूँ और हो छन-छन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
दरबार में मैं ऐसे आऊँ, सब हाल मेरे मस्तूर रहें
और बात करूँ मैं मन ही मन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
थक हार के मैं पहुँचा दर पे, आराम मिला जब आप मिले
और लगने लगा फिर अपनापन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
ऐ पैकर-ए-जूद-ओ-सख़ा ख़्वाजा ! अग़्यार न क्यूँ हैरान रहें
जब रहमत-ए-‘आलम साया-फ़िगन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
ये मस्त-निगाही है, ख़्वाजा ! जो मस्त-ओ-मलंग बनाती है
दरबार में हो आज़ाद चलन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
अजमेर की धरती पे चलना आसान नहीं यूँ बोल उठी
ऐ नूर ! तेरे दिल की धड़कन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
अब नूर तेरे दर पे आ के इज़हार-ए-‘अक़ीदत कैसे करे
खाए है उसे बस ये उलझन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
इस सर को झुका पाए दुश्मन, ये उस के बस की बात नहीं
जिस पर हो तेरे क़दमों की मुहर, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
फ़रज़ंद-ए-‘अली हो नूर-ए-नबी, महबूब-ए-ख़ुदा है ज़ात तेरी
इक बार दिखा अपना गुलशन, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
जो कुछ भी मिला है अशरफ़ को, वो तेरे दर का उतरन है
बस यूँही रहे साया सर पर, या ख़्वाजा मु’ईनुद्दीन हसन !
शायर:
सय्यिद नूरानी मियाँ अशरफ़ अशरफ़ी
ना’त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
hai tum pe fida sab tan-man-dhan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !chhooTe na kabhi tera daaman
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
karte hai.n fida sab tan-man-dhan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !ajmer mujhe pahuncha de KHuda
chaadar mai.n cha.Dhaau.n phoolo.n ki
phir sadqa karu.n apna tan-man
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !aaqa ki ‘ata ho noor-e-‘ali
zahra ki kali, waliyo.n ke wali
hasnain ke dil, ‘usmaa.n ke nayan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !kaa’ba ho, madina ho ya najaf
har jaa pe nazar tum aate ho
kuchh aisi lagi hai dil ki lagan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !mai-KHaane me.n meri masti kuchh
is tarha nazar aae, saaqi !
mai.n raqs karu.n aur ho chhan-chhan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
darbaar me.n mai.n aise aau.n
sab haal mere mastoor rahe.n
aur baat karu.n mai.n man hi man
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
thak haar ke mai.n pahuncha dar pe
aaraam mila jab aap mile
aur lagne laga phir apnapan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
ai paikar-e-jood-o-saKHa KHwaja !
aGyaar na kyu.n hairaan rahe.n
jab rehmat-e-‘aalam saaya-figan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
ye mast-nigaahi hai, KHwaja !
jo mast-o-malang banaati hai
darbaar me.n ho aazaad chalan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
ajmer ki dharti pe chalna
aasaan nahi.n yu.n bol uThi
ai Noor ! tere dil ki dha.Dkan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
ab Noor tere dar pe aa ke
iz.haar-e-‘aqeedat kaise kare
khaae hai use bas ye uljhan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
is sar ko jhuka paae dushman
ye us ke bas ki baat nahi.n
jis par ho tere qadmo.n ki muhar
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
farzand-e-‘ali ho noor-e-nabi
mehboob-e-KHuda hai zaat teri
is baar dikha apna gulshan
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
jo kuchh bhi mila hai Ashraf ko
wo tere dar ka utran hai
bas yunhi rahe saaya sar par
ya KHwaja mu’eenuddin hasan !
Poet:
Syed Noorani Miya Ashraf Ashrafi
Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri
Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti, jinhein log Khwaja Garib Nawaz ke naam se jaante hain, 12th century ke ek mahaan Sufi sant the. Unka janm 1141 mein Sistan (aaj ka Iran) mein hua tha. Baad mein woh Hindustan aaye aur Ajmer (Rajasthan) mein base. Khwaja ji ne prem, insaniyat aur bhakti ka sandesh diya jo sab dharmon ke logon ne apnaya.
Unka sandesh tha: “Sab se prem karo, kisi se bair nahi.”Unki dargah, Ajmer Sharif, aaj bhi ek pavitra sthal hai jahan lakhon log har saal Urs ke dauraan ya kisi bhi din shraddha ke saath aate hain. Log chaadar aur phool chadha kar dua maangte hain aur unki mannat poori bhi hoti hai.
Khwaja ji Hazrat Ali ke vanshaj the aur Chishti Sufi silsila ke pramukh sant bane. Unhone bhukhe ko khana, beghar ko asra aur dukhi ko sahara dena apna farz samjha. Aaj bhi unka naam ekta, daya aur barkat ka pratik hai. Jo bhi unke dar pe aata hai, wo khaali haath nahi jaata.
Choote na kabhi tera daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Hai tum pe fida sab tan mann dann
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Ajmer mujhe pohochaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Kaaba ho Madina ho ya Najaf
Har sampt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Waliyon ke wali ho tum Khwaja
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Aqaa ki atah woh Noor e Ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Shayari
Gulami tere dar ki khawaja grib nawaj kismat se milti hai |
Ye vo dar hai jaha bhikh bhi ijjat se milti hai ||
Khushboo se mehak uthi hai sar jamin hindustan ki |
Nikal chuka hai madine se sehra grib nawaj ka ||
Sab kehte hai kamyaab bano duniya slam karegi |
Ham Kehte hai khawaja ke gulam bano Kamyaabi tumhe khud slam kregi ||
Khatam kar de tu mere roj ka rona khawaja |
Tu to mitti ko bhi kar deta hai Sona Khawaja ||
E jamin e hindustan apne mukaddar par naaj kar |
Teri god me hai takhta nashin garib nawaj ||
Ya garib Nawaj Musibat ho agar to kinare par safina bhej dete hai |
Mere khawaja jise chahe madina bhej dete hai ||
Ya khawaja grib nawaj teri chaukhat se khawaja kidhar jayege |
Aagar apne na sambhala to ham to mar hi jayege ||
Unhi se hmara kal hai unhi se hmara aj hai |
Hme jin par naaz hai Unhi ka naam garib nawaj hai ||
Khushboo aa rhi hai kahi se sayad taja gulab ki |
Sayad khidki khuli rah gayi hai darbar e khawaja garib nawaj ki ||
Tune maikhana ankho me chupa rkha hai |
Hoshwalo ko bhi diwana bna rkha hai ||
Naaj kyo na karu garib nawaj hind ke sultan par |
Ham jaise Nachij ko apna bna rkha hai ||
Chand ki wajah se pura asman chamkta hai |
Teri khushboo se khawaja mere iman mehkta hai ||
Jamana chamkta hoga kisi duniya ki rohsni se |
Teri barkar se khawaja sarkar pura hindusatan chamkta hai ||
Koi hme mita ske kisi me dam hai kya |
or jise khawaj nawaje hai vah kisi hire se kam hai kya ||
Jisne mujhe smjha hi nhi vah to galat hi mante hai |
Me itna bhi bura nhi hu mujhe to mera khawaja hi jante hai ||
Bula lijiye ab itna kyo rulate hai |
sab kehte hai ajmer vahi jate hai jinko khawaja bulate hai ||
🔗 Visit Now: https://blackmagiceffects.in/
🧿 Explore trusted knowledge about Tantra, Sadhna & spiritual protection methods.
Comments